Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : yeh
mahina (ramadhan) tum par aaya hai aur isme ek raat hai jo hajaar mahino se
jyaada behtar hai, jo is se mehroom reh gya veh tamam ki tamam bhalayi se
mehroom reh gya aur uski bhlayi se mehrom vahin rehta hai jo hai he badnaseeb .
( Hadees: Ibne maza)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH)ne farmaya : Har
gandagi ko door karne ke liye allah ne koi na koi cheez banayi hai, aur jism ko
( ruhani gandgiyo aur bimariyo se ) paak karne wali cheez roza hai, aur roza
aadha sabr hai. (Hadees : Isne maaza)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jis
aadmi ne imaan ke sath aur aakhirat me badla paane ki neeyat se ramzaan ke
rozey rakhe toh allah uske pichle gunaho ko maaf kar dega. Aur jis aadmi ne
imaan ke sath aur aakhirat me badla paane ki neeyat se ramzaan me taraveeh (ki
namaz) padhi to allah uske pichle gunaho ko maaf kar dega. (Hadees: Bukhari, Muslim)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jis
aadmi ne roza rakh kar bhi jhuth bolna aur us par amal karna naa choda toh
allah ko uske bhukha rehne se koi dilchaspi aur sarokaar nahi. (Hadees:
Bukhari,Muslim)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jab tum
se koi shakhs iftaar kre toh use chahiye ki khajoor se iftaar kre kyonki isme
barkat hai, agar khajoor na mile toh paani se iftaar kre kyonki veh paak hai.
(Hadees: Ahmed, Tamirji)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jo aadmi
ramzaan ka ek roza bhi kisi 'shrayi ujar' (safar aur bimari vagereh) ke bina
chod de, fir uski kami poori karne ke liye veh zindagi bhar roze rakhe tab bhi
ramzaan ke us ek roze ki kami poori nahi hogi. (Hadees: Tamirji)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (un par allah ki rehmat aur
salamati ho) ne farmaya : Ki log (yaani musalman) jab tak iftaar karne me jaldi
karenge (yaani waqt hote he iftaar kar lenge) us waqt tak achi haalat me
rhenge. (Hadees: Bukhari)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Roza aur quran mommin ke liye sifarish
karenge. Roza kahega: Aye mere rabb is aadmi ko khaane aur doosri lazzto se roka
toh yeh rukaa rha, to aye mere rabb ! Iske liye meri sifarish kabool karle aur quran
kahega: Aye mere rabb ! Maine isko raat me sone se roka ( toh yeh apni meethi
neend chod kar taraveeh ki namaz me quaran padhta raha) Aye mere rabb! Is aadmi
ke liye meri sifaarish kabool karle. Allah dono ki sifaarishe kabool kar lega.
(Hadees: MIshkaat)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (Un par allah ki rehmat aur
salamati ho) ne farmaya : Swehri karo kyonki sehri khaane me barkat hai.
(Hadees: Bukhari)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (Un par allah ki rehmat aur
salamati ho) ne farmaya : Kitne he rozedar aise hai jinhe apne rozo se sivaaye
pyaas ke kuch haasil nahi hota aur kitne he raato ko ibaadat karne wale aise
hai ki jise apni is ibaadat se raat ki neend se mehroomi ke sivaa kuch haasil
nahi hota. (Hadees: Daarmi)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Insaan
apne ghar walo ke baare me maal ki khareed frokhat aur padosiyo ke baare me
bhoolchuk aur galatiya kar jaata hai ( Jaan bujhkar nahi, balki anjaane me) to
namaaz, roza aur sadka unka kaffara ban jayenge. (Hadees: Bukhari)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Beshak
allah ne muslim samaaz ke liye jakaat ko farz kiya hai jo unke maldaaro se
vasool kiya jayegi aur unke jaruratmando ko lautayi jayegi. (Hadees: Bukhari,
Muslim)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jis aadmi ko allah ne (uski jarurat se
jyaada) maal diya magar usne uski jakaat adaa nahi ki toh uska maal kiyamat ke
din nihayat zehriley saamp ki shakal ikhtiyar karega , jiske sir par do kaale
nishaan honge (Jo bahut zehriley saamp ki pehchaan hai) aur veh uske gale ka
taukk ban jayega. Fir uske dono jabdo ko pakdega aur kahega "Mai tera maal
hu", Mai tera khazana hu fir aap ne quran mazeed ki yeh aayat padhi: Jiska
tijurma yeh hai ki ,"Veh log jo apna maal kharch karne me kanjoosi karte
hai, hargiz yeh na samjhe ki unka yeh maal unke liye behtar saabit hoga. Nahi,
balki yeh toh unke gale ka taukk banega (yaani badi tabaahi ka sabab hoga) (
Hadees: Bukhari)
Hazrat aayisha (raji) farmaarti hai ki maine allah ke rasool
(PUBH) ko yeh kehte huye suna: Jis maal ki Jakaat na nikaali jaaye aur usi me
veh mili juli rahe to veh us maal ko tabaah karke chodti ha. (Hadees: Mishkaat)
Hazrat Abdullah Ibne Masaud kehte hai ki humko ko namaz
kaayam karne aur jakaat dene ka hukam diya gaya hai aur jo aadmi namaaz padhe
magar jakaat na de to uski namaz allah ko yahan kabool na hogi. Ek doosri
hadees me aaya hai: Aisa aadmi Muslim nahi
hai. Usko uska amal kiyamat me kuch faayda nahi pahunchayega.
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jab tumne apne maal ki jakaat adaa kar di to
tum allah ke haq se bari ho gye . Haan, jisne haraam maal jama kiya aur use
allah ki raah me kharch kar diya toh us par use koi badla nahi milega, balki
ulta gunah hoga. (Hadees: Saheen Ibne Khujaima)
Hazrat aayisha bayaan karti hai ki raslullah ramzan ke
aakhiri dus dino me aitikaaf kiya karte the, yahan takk ki allah ne aapko
vafaat bakshi , fir aapke baad aapki paak biwiya aitifaak kiya karti thi.
(Hadees: Bukhari, Muslim)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Aitifaak karne wala chunki ( aitifaak ke
jamaane me ) gunaaho se ruka rehta hai islye uske haq me veh tamam nakiya likhi
jaati hai jo us shakhs ke jo tamam nakiyo par amal paira hota hai. (Hadees:
Ibne maza)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne fitra ena aapki
ummat par vaajib karaar diya taaki roze ki haalat me rojedar se jo choti moti
galatiya ho jaaya karti hai, unka kaffara bane aur doosri aur gareebo aur
miskaano ke khaane peene ka intzaam bhi ho jaaye. (Hadees: Abu Daud)
Hazrat aayisha bayan karti hai ki jab ramzan ki aakhiri dus
taarekhe aati thi toh rasullah kamar kass lete the, raat raat bhar jaagte the
aur apne ghar walo ko bhi jagaate the. (Hadees: Bukhari)
Hazrat aayisha farmaati hai ki maine rasullah se arz kiya:
ya raslullah aapka khayal hai, agar mujhe maaloom ho jaaye ki kon see raat
lailtulakadar hai, toh mujhe usme kya dua karni chahiye. Aap ne farmaya, kaho aye mere allah , tu bada
maaf karne wala hai, Tu maaf karne ko pasand karta hai lihaza mujhe maaf farmaa
de. (Hadees: Ahmed, Ibne Maza)
Hazrat Aayisha (raji) farmaati hai ki rasool (PUBH) ramzaan
ke aakhiri dus dino me (allah ki ibadat karne me) jis kadar sakhat mehnat karte
the utni aur kisi jamaane me nahi karte the. (Hadees:Muslim)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Lailtull
kadar ko ramzaan ki aakhiri dus raaton ki taak taarekhon (yaani 21,23,25,27 aur
29 taareekho) me talaash karo. ( Hadees:Bukhari)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Ramzaan
ki aakhiri raat ko meri ummat ki magfarit ho jaati hai, sahaba ne arz kiya, Aye
allah ke rasool, kya yahin lailtull kadar hai ? Hazrat mohammad ne farmaya
nahi, balki mazdoor ko uski majdoori us waqt di jaati hai jab veh apna kaam
poora kar leta hai. (Hadees: Ahmed)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jab log
eid ki namaaz padh chukte hai toh khuda ka ek farishta yeh elaan karta hai: Aye
Logon ! Tumhare rabb ne tumhe baksh diya, toh ab tum apne ghro ko wapas aajao.
Is haal me ki sahi raste par chalne wale rehna (Allah ka banda bankar zindagi
gujaarna) Yeh Eid ka din inaam ka din hai aur ise duniya me toh eid ka din kaha
jaata hai magar aasmaani duniya me yaani farishto ki duniya me ise 'Insaan ka
din' kaha jaata hai. (Hadees: Tageeb: Al Munjiri)
Hazrat Abbu Hurrera(Raji) Bayaan karte hai ki allah ke
rasool (PUBH) ne kaha: Aadam ke bete ke har amal ki neki dus guna se saat so
guna tak badhayi jaati hai. Alah kehta hai ki roza isse alag hai kyonki veh
mere liye hai aur mai he uska badla lunga. Aadmi apni jinsi khaashihaat aur
apna khaana mere he liye chod deta hai. Rozedaar ke liye do khushiyan. Ek
khushi roza kholne ke waqt aur doosri khushi apne rabb se milne ke waqt. Aur
rozedar ke muh ki boo allah ki nazar me mushak ki khusboo se behtar hai. Aur
roza dhaal hai jab tum me se kisi ka roza ho to veh ne behiyayi ki baatein kare
aur ne shor machaaye aur na ladayi jhagda kare, aur agar koi use bura bhala
kahe ya usse lade toh keh de ki mai roze se hu. (Hadees:Bukhari)
Allah ke Rasool Hazrat Mohammed (PUBH) ne farmaya : Jab
Edull Fittr ka din aata hau toh allah ke farishte sabhi raasto ke nukkado par
khade ho jaate hai. Kehte hai: Aye musalmano ! Apne rabb ke paas chalo, jo bada
meharban hai, jo nekki aur bhalayi ki batein batata hai us par mal karne ki
taufik deta hai. Fir us par bada insaam bhi deta hai. Tumhe uski aur se (nabi
ke jariye) taraveeh ki namaz padhne ka hukam mila toh tumne taraveeh padhi. Din
me roza rakhne ka hukam diya gaya toh tumne roze rakhe aur apne rabb ka hukam
maana. To ab chalo, apna inaam lelo. (Hadees: Targeeb: Al Manjoori)
No comments:
Post a Comment